fana ki samt chala hun baqa main kya jaanun
fanā kī samt chalā huuñ baqā maiñ kyā jānūñ
ye kaisī baat hai us kī razā maiñ kyā jānūñ
dayār-e-fikr pe taarī hai naza.a kā aalam
huuñ zinda laash zamīñ par duā maiñ kyā jānūñ
azal se aaj talak baT rahā huuñ qistoñ meñ
milegī is se bhī baḌh kar sazā maiñ kyā jānūñ
hai mere dil meñ bhī hasrat kahūñ anal-haq maiñ
nasīb hogī kab us kī razā maiñ kyā jānūñ
hayāt rishta-e-zanjīr meñ hai simTī huī
najāt degā mujhe kab ḳhudā maiñ kyā jānūñ
hadoñ se apnī guzarne kī zid pe qaa.em hai
samajh se baalā hai us kī adā maiñ kyā jānūñ
'asar' maiñ sun to rahā huuñ havā kī sargoshī
kahīñ badal hī na jaa.e fazā maiñ kyā jānūñ
fana ki samt chala hun baqa main kya jaanun
ye kaisi baat hai us ki raza main kya jaanun
dayar-e-fikr pe tari hai naza ka aalam
hun zinda lash zamin par dua main kya jaanun
azal se aaj talak baT raha hun qiston mein
milegi is se bhi baDh kar saza main kya jaanun
hai mere dil mein bhi hasrat kahun anal-haq main
nasib hogi kab us ki raza main kya jaanun
hayat rishta-e-zanjir mein hai simTi hui
najat dega mujhe kab KHuda main kya jaanun
hadon se apni guzarne ki zid pe qaem hai
samajh se baala hai us ki ada main kya jaanun
'asar' main sun to raha hun hawa ki sargoshi
kahin badal hi na jae faza main kya jaanun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.