fankar hai to apne hunar ki bhi jaanch kar
fankār hai to apne hunar kī bhī jāñch kar
do aur do ko chhe nahīñ kartā to pāñch kar
haiñ tere kitne kaam ke bekār kis qadar
dariyāoñ ko khañgāl sitāroñ kī jāñch kar
le le na saare shahr ko apnī lapeT meñ
sar meñ sulag rahī hai jo ThanDī vo aañch kar
sach bolne kī taab nahīñ hai to kam se kam
ai aql-mand jhuuT ko chamkā ke sāñch kar
kab tak zamīñ makāñ zan-o-farzand kārobār
hastī kā hal bhī DhūñD koī soñch-sāñch kar
miTTī bhī terī dekh ke uglegī sīm-o-zar
apne lahū se chhoḌ use sīñch-sāñch kar
hiire ko kaun pūchhne vaalā hai ai aziiz
hiire ko chhīl-chhāl ke chamkā ke kāñch kar
fankar hai to apne hunar ki bhi jaanch kar
do aur do ko chhe nahin karta to panch kar
hain tere kitne kaam ke bekar kis qadar
dariyaon ko khangal sitaron ki jaanch kar
le le na sare shahr ko apni lapeT mein
sar mein sulag rahi hai jo ThanDi wo aanch kar
sach bolne ki tab nahin hai to kam se kam
ai aql-mand jhuT ko chamka ke sanch kar
kab tak zamin makan zan-o-farzand karobar
hasti ka hal bhi DhunD koi sonch-sanch kar
miTTi bhi teri dekh ke uglegi sim-o-zar
apne lahu se chhoD use sinch-sanch kar
hire ko kaun puchhne wala hai ai aziz
hire ko chhil-chhaal ke chamka ke kanch kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.