fann-e-ghazal-arai de
fann-e-ġhazal-ārā.ī de
lahje ko sachchā.ī de
ūñchī chhat ke sadqe meñ
fikroñ ko gahrā.ī de
duniyā hai jangal kā safar
lachhman jaisā bhaa.ī de
daatā terī marzī hai
ġham de yā rusvā.ī de
vo har mausam par qādir
lau de yā purvā.ī de
sone kā bāzār girā
miTTī ko mahñgā.ī de
manzar manzar sher ugā
lafzoñ ko bīnā.ī de
jāgtī āñkheñ hañstī haiñ
ḳhvāboñ ko sachchā.ī de
niiñd khule to kānoñ meñ
terā naam sunā.ī de
maulā apne 'tāriq' ko
nekī de achchhā.ī de
fann-e-ghazal-arai de
lahje ko sachchai de
unchi chhat ke sadqe mein
fikron ko gahrai de
duniya hai jangal ka safar
lachhman jaisa bhai de
data teri marzi hai
gham de ya ruswai de
wo har mausam par qadir
lau de ya purwai de
sone ka bazar gira
miTTi ko mahngai de
manzar manzar sher uga
lafzon ko binai de
jagti aankhen hansti hain
KHwabon ko sachchai de
nind khule to kanon mein
tera nam sunai de
maula apne 'tariq' ko
neki de achchhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.