faqat aasaniyan hotin to aasani se mar jate
faqat aasaniyan hotin to aasani se mar jate
Sagheer Ahmad Sagheer
MORE BYSagheer Ahmad Sagheer
faqat āsāniyāñ hotīñ to āsānī se mar jaate
pareshāñ gar nahīñ hote pareshānī se mar jaate
ḳhudā kā shukr hai tum se mile the ḳhvāb meñ varna
haqīqat meñ ye sab hotā to hairānī se mar jaate
ye sab mahrūm jiite haiñ kisī ummīd-e-fardā par
inheñ sab kuchh hī mil jaatā farāvānī se mar jaate
ham ahl-e-dasht ko mushkil-pasandī raas aatī hai
koī mushkil nahīñ hotī tan-āsānī se mar jaate
ḳhirad ne umr bhar hī imtihānoñ meñ rakhā ham ko
'saġhīr' is se to achchhā thā ki nādānī se mar jaate
faqat aasaniyan hotin to aasani se mar jate
pareshan gar nahin hote pareshani se mar jate
KHuda ka shukr hai tum se mile the KHwab mein warna
haqiqat mein ye sab hota to hairani se mar jate
ye sab mahrum jite hain kisi ummid-e-farda par
inhen sab kuchh hi mil jata farawani se mar jate
hum ahl-e-dasht ko mushkil-pasandi ras aati hai
koi mushkil nahin hoti tan-asani se mar jate
KHirad ne umr bhar hi imtihanon mein rakha hum ko
'saghir' is se to achchha tha ki nadani se mar jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.