faqat mujhko to ek hi gham mohabbat haar baiTha hun
faqat mujhko to ek hi gham mohabbat haar baiTha hun
Mudassir ishtiyaaq
MORE BYMudassir ishtiyaaq
faqat mujh ko to ik hī ġham mohabbat haar baiThā huuñ
haiñ āñkheñ bhī zarā sī nam mohabbat haar baiThā huuñ
davā zaḳhm-e-mohabbat pe lagā mujh ko jo hai koī
mire zaḳhmoñ pe rakh marham mohabbat haar baiThā huuñ
judā.ī jaan kī dushman judā.ī dard aisā hai
rahūñ shāyad zarā ab kam mohabbat haar baiThā huuñ
ta'alluq TuuT bhī jaatā magar rahtā bharam baaqī
banā dushman mirā ham-dam mohabbat haar baiThā huuñ
baḌā hī zo'm thā mujh ko huuñ pyārā sab se maiñ us ko
mirā TuuTā yaqīñ mohkam mohabbat haar baiThā huuñ
mohabbat ko samajh paayā 'mudassir' maiñ faqat itnā
samajh aa.e jo pech-o-ḳham mohabbat haar baiThā huuñ
faqat mujh ko to ek hi gham mohabbat haar baiTha hun
hain aankhen bhi zara si nam mohabbat haar baiTha hun
dawa zaKHm-e-mohabbat pe laga mujh ko jo hai koi
mere zaKHmon pe rakh marham mohabbat haar baiTha hun
judai jaan ki dushman judai dard aisa hai
rahun shayad zara ab kam mohabbat haar baiTha hun
ta'alluq TuT bhi jata magar rahta bharam baqi
bana dushman mera ham-dam mohabbat haar baiTha hun
baDa hi zo'm tha mujh ko hun pyara sab se main us ko
mera TuTa yaqin mohkam mohabbat haar baiTha hun
mohabbat ko samajh paya 'mudassir' main faqat itna
samajh aae jo pech-o-KHam mohabbat haar baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.