faqat ummid se gulshan ki virani nahin jati
faqat ummīd se gulshan kī vīrānī nahīñ jaatī
ye jaate jaate jaatī hai ba-āsānī nahīñ jaatī
jo ham ne kah diyā tasdīq kā muhtāj hotā hai
hamārī baat aksar mustanad maanī nahīñ jaatī
junūñ vāloñ ko ab to vāqa.ī nādāñ samajhte haiñ
na jaane kyoñ ḳhirad vāloñ kī nādānī nahīñ jaatī
barahna hai agar insāñ mohazzab ho na muḳhlis ho
faqat malbūs se insāñ kī uryānī nahīñ jaatī
to phir kaise na ho ham ko taġhayyur kā yaqīñ 'yaktā'
jab apnī shakl ḳhud ham se hī pahchānī nahīñ jaatī
faqat ummid se gulshan ki virani nahin jati
ye jate jate jati hai ba-asani nahin jati
jo hum ne kah diya tasdiq ka muhtaj hota hai
hamari baat aksar mustanad mani nahin jati
junun walon ko ab to waqai nadan samajhte hain
na jaane kyon KHirad walon ki nadani nahin jati
barahna hai agar insan mohazzab ho na muKHlis ho
faqat malbus se insan ki uryani nahin jati
to phir kaise na ho hum ko taghayyur ka yaqin 'yakta'
jab apni shakl KHud hum se hi pahchani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.