faqat zamin hi nahin aasman mera hai
faqat zamīñ hī nahīñ āsmān merā hai
faqīr-e-‘ishq huuñ saarā jahān merā hai
hasab nasab kī ye bāteñ to kāġhazī haiñ faqat
jahāñ bhī 'ishq hai vo ḳhāndān merā hai
mirā vajūd hai qaa.em isī ta'alluq se
havā.eñ us kī haiñ aur bādbān merā hai
mirī ġhazal abhī māyūs ho nahīñ saktī
abhī to shahr meñ ik qadr-dān merā hai
abhī to par bhī nahīñ khole us ne uḌne ko
abhī se kahne lagā āsmān merā hai
faqat zamin hi nahin aasman mera hai
faqir-e-‘ishq hun sara jahan mera hai
hasab nasab ki ye baaten to kaghazi hain faqat
jahan bhi 'ishq hai wo KHandan mera hai
mera wajud hai qaem isi ta'alluq se
hawaen us ki hain aur baadban mera hai
meri ghazal abhi mayus ho nahin sakti
abhi to shahr mein ek qadr-dan mera hai
abhi to par bhi nahin khole us ne uDne ko
abhi se kahne laga aasman mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.