faqir-e-ishq ke lab par koi sawal nahin
faqīr-e-ishq ke lab par koī savāl nahīñ
abhī vo pyaas chhalakne kā ehtimāl nahīñ
bahut ġharīb huuñ lekin kabhī na bechūñgā
ye jo zamīr hai merā bikā.ū maal nahīñ
bachā rahā huuñ kisī aur ko sar-e-maqtal
maiñ ḳhud huuñ Dhaal mire paas koī Dhaal nahīñ
ye kaun log haiñ dushman jamāl-e-fitrat ke
tuyūr shāḳh pe aur dasht meñ ġhazāl nahīñ
vo jin ke tarz-e-taḳhātub meñ zahr shāmil hai
agar nasīb meñ mahbūb se visāl nahīñ
faqir-e-ishq ke lab par koi sawal nahin
abhi wo pyas chhalakne ka ehtimal nahin
bahut gharib hun lekin kabhi na bechunga
ye jo zamir hai mera bikau mal nahin
bacha raha hun kisi aur ko sar-e-maqtal
main KHud hun Dhaal mere pas koi Dhaal nahin
ye kaun log hain dushman jamal-e-fitrat ke
tuyur shaKH pe aur dasht mein ghazal nahin
wo jin ke tarz-e-taKHatub mein zahr shamil hai
agar nasib mein mahbub se visal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.