faqir-KHak-nashin the kisi ko kya dete
faqīr-ḳhāk-nashīñ the kisī ko kyā dete
magar yahī ki vo miltā to ham du'ā dete
galī galī meñ pukārā nagar nagar ghūme
kahāñ kahāñ na phire tujh ko ham sadā dete
lagī ye dil kī bhalā āñsuoñ se kyā bujhtī
sarishk-e-dīda-e-ġham aur bhī havā dete
sunā hai ahl-e-hakam par girāñ thī merī navā
ye baat thī to mujhe bazm se uThā dete
ye kaam kam thā ye kār-e-payambarāna thā
ki ik charāġh sar-e-rahguzar jalā dete
javāb-e-pursish-e-ġham ke hazār pahlū haiñ
ham apne hosh meñ hote to muskurā dete
ġhubār-e-rāh nahīñ the ki baiTh jaate ham
guzar ga.e hameñ āvāz naqsh-e-pā dete
gharoñ meñ aag lagā kar bhī kyā milā 'ḳhālid'
diloñ meñ aag lagī thī use bujhā dete
faqir-KHak-nashin the kisi ko kya dete
magar yahi ki wo milta to hum du'a dete
gali gali mein pukara nagar nagar ghume
kahan kahan na phire tujh ko hum sada dete
lagi ye dil ki bhala aansuon se kya bujhti
sarishk-e-dida-e-gham aur bhi hawa dete
suna hai ahl-e-hakam par giran thi meri nawa
ye baat thi to mujhe bazm se uTha dete
ye kaam kam tha ye kar-e-payambarana tha
ki ek charagh sar-e-rahguzar jala dete
jawab-e-pursish-e-gham ke hazar pahlu hain
hum apne hosh mein hote to muskura dete
ghubar-e-rah nahin the ki baiTh jate hum
guzar gae hamein aawaz naqsh-e-pa dete
gharon mein aag laga kar bhi kya mila 'KHalid'
dilon mein aag lagi thi use bujha dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.