faqir pir suKHan-war tere murid rahe
faqīr piir suḳhan-var tire murīd rahe
zahīn log mohabbat meñ ahl-e-dīd rahe
madad to ḳhuub kī us ne mirī par aise kī
samajh lo jaise kisī tohfe pe rasīd rahe
manāne rūThne ke silsile bhī saath chaleñ
safar tavīl bhī ho dhuñdh bhī shadīd rahe
ye sach hai ishq meñ milte haiñ jān-levā dukh
ham aise vāqi.oñ ke ḳhud bhī chashm-dīd rahe
tū jaate jaate mire dost kuchh to aisā bol
kī tere lauT ke aane kī kuchh umiid rahe
faqir pir suKHan-war tere murid rahe
zahin log mohabbat mein ahl-e-did rahe
madad to KHub ki us ne meri par aise ki
samajh lo jaise kisi tohfe pe rasid rahe
manane ruThne ke silsile bhi sath chalen
safar tawil bhi ho dhundh bhi shadid rahe
ye sach hai ishq mein milte hain jaan-lewa dukh
hum aise waqion ke KHud bhi chashm-did rahe
tu jate jate mere dost kuchh to aisa bol
ki tere lauT ke aane ki kuchh umid rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.