faqirana sada KHamosh kyon hai
faqīrāna sadā ḳhāmosh kyoñ hai
qalandar kī navā ḳhāmosh kyoñ hai
jise maqsūd thā bas gungunānā
vahī bād-e-sabā ḳhāmosh kyoñ hai
sadāqat kuchh batā ab mahfiloñ meñ
tirā naġhma-sarā ḳhāmosh kyoñ hai
fanā jab har taraf mañDlā rahī hai
to aise meñ baqā ḳhāmosh kyoñ hai
hai mausam lab-kushā.ī kā chaman meñ
shajar gum-sum havā ḳhāmosh kyoñ hai
diye jab aur saare jal rahe haiñ
mohabbat kā diyā ḳhāmosh kyoñ hai
'kañval' jis shahr meñ sab bolte haiñ
vahāñ ibn-e-ḳhudā ḳhāmosh kyoñ hai
faqirana sada KHamosh kyon hai
qalandar ki nawa KHamosh kyon hai
jise maqsud tha bas gungunana
wahi baad-e-saba KHamosh kyon hai
sadaqat kuchh bata ab mahfilon mein
tera naghma-sara KHamosh kyon hai
fana jab har taraf manDla rahi hai
to aise mein baqa KHamosh kyon hai
hai mausam lab-kushai ka chaman mein
shajar gum-sum hawa KHamosh kyon hai
diye jab aur sare jal rahe hain
mohabbat ka diya KHamosh kyon hai
'kanwal' jis shahr mein sab bolte hain
wahan ibn-e-KHuda KHamosh kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.