faqiron pe apne karam ek zara kar
faqīroñ pe apne karam ik zarā kar
tire dar pe baiThe haiñ dhūnī ramā kar
bahut der se dar pe sādhū khaḌe haiñ
faqīroñ pe daatā dayā kar dayā kar
nahīñ ham ko ḳhvāhish kisī aur shai kī
hameñ apne jauban kā sadqa atā kar
'surūr' un kī nagrī meñ barsoñ phire ham
faqīrāna bhes apnā aksar banā kar
faqiron pe apne karam ek zara kar
tere dar pe baiThe hain dhuni rama kar
bahut der se dar pe sadhu khaDe hain
faqiron pe data daya kar daya kar
nahin hum ko KHwahish kisi aur shai ki
hamein apne jauban ka sadqa ata kar
'surur' un ki nagri mein barson phire hum
faqirana bhes apna aksar bana kar
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 86)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.