faragh-e-mehr-o-wafa se jo haT nahin sakta
farāġh-e-mehr-o-vafā se jo haT nahīñ saktā
kabhī samāj se millat se kaT nahīñ saktā
jo sidq-e-dil se tū kar de mirī satā.ish bhī
mujhe yaqīñ hai tirā qad bhī ghaT nahīñ saktā
havāla us kā kabhī mo'tabar nahīñ rahtā
jo aap apne usūloñ pe DaT nahīñ saktā
mire vajūd kī sab kirchiyāñ sañbhāl ke rakh
ki ab mazīd maiñ TukḌoñ meñ baT nahīñ saktā
kisī kā saath na ho to bahut hī mushkil hai
ye zindagī kā safar yūñhī kaT nahīñ saktā
ise 'amal ke pasīne kī bārishoñ se biThā
ġhubār-e-rāh du'āoñ se chhaT nahīñ saktā
bahū ko apnī hī beTī samajh le saas agar
to phir kisī pe bhī chūlhā ye phaT nahīñ saktā
faqat use hī pata hai maiñ kyā huuñ andar se
maiñ apnī zaat ke aage to DaT nahīñ saktā
aur ab to taḳht yā taḳhte kī baat hai 'ḳhālid'
maiñ aa gayā jo muqābil to haT nahīñ saktā
faragh-e-mehr-o-wafa se jo haT nahin sakta
kabhi samaj se millat se kaT nahin sakta
jo sidq-e-dil se tu kar de meri sataish bhi
mujhe yaqin hai tera qad bhi ghaT nahin sakta
hawala us ka kabhi mo'tabar nahin rahta
jo aap apne usulon pe DaT nahin sakta
mere wajud ki sab kirchiyan sanbhaal ke rakh
ki ab mazid main TukDon mein baT nahin sakta
kisi ka sath na ho to bahut hi mushkil hai
ye zindagi ka safar yunhi kaT nahin sakta
ise 'amal ke pasine ki barishon se biTha
ghubar-e-rah du'aon se chhaT nahin sakta
bahu ko apni hi beTi samajh le sas agar
to phir kisi pe bhi chulha ye phaT nahin sakta
faqat use hi pata hai main kya hun andar se
main apni zat ke aage to DaT nahin sakta
aur ab to taKHt ya taKHte ki baat hai 'KHalid'
main aa gaya jo muqabil to haT nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.