faraaz-e-dar ko zauq-e-junun talash kare
farāz-e-dār ko zauq-e-junūñ talāsh kare
ye dil ki terī nazar kā fusūñ talāsh kare
sukūn ke liye pahle nazar nazar se mile
nazar milā ke ye dil phir sukūñ talāsh kare
kisī ne zohd kiyā aur to koī mast huā
jise tū yuuñ nahīñ miltā vo yuuñ talāsh kare
lo aaj ramz-e-nihāñ ko ayaañ karūñ ki bashar
barūñ pe sabt hai taḳhtī darūñ talāsh kare
tamām shahr shajar bheḌiyoñ ke jaisā hai
har ek pyaas bujhāne ko ḳhuuñ talāsh kare
faraaz-e-dar ko zauq-e-junun talash kare
ye dil ki teri nazar ka fusun talash kare
sukun ke liye pahle nazar nazar se mile
nazar mila ke ye dil phir sukun talash kare
kisi ne zohd kiya aur to koi mast hua
jise tu yun nahin milta wo yun talash kare
lo aaj ramz-e-nihan ko ayan karun ki bashar
barun pe sabt hai taKHti darun talash kare
tamam shahr shajar bheDiyon ke jaisa hai
har ek pyas bujhane ko KHun talash kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.