fard hain intiKHab hain hum log
fard haiñ intiḳhāb haiñ ham log
aap apnā javāb haiñ ham log
nīst-o-nābūd haiñ koī dam meñ
yaar misl-e-habāb haiñ ham log
haal kahtā hai kuchh nahīñ apnā
kisī gūñge kā ḳhvāb haiñ ham log
paañv paḌte na Thokareñ khāte
dil ke hāthoñ ḳharāb haiñ ham log
fard hain intiKHab hain hum log
aap apna jawab hain hum log
nist-o-nabud hain koi dam mein
yar misl-e-habab hain hum log
haal kahta hai kuchh nahin apna
kisi gunge ka KHwab hain hum log
panw paDte na Thokaren khate
dil ke hathon KHarab hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.