fareb de na kahin azm-e-mustaqil mera
fareb de na kahīñ azm-e-mustaqil merā
hujūm-e-yās se ghabrā na jaa.e dil merā
ye kis maqām pe pahuñchā diyā mohabbat ne
ki mere bas meñ nahīñ hai ḳhud aaj dil merā
mubārak aish kā māhaul ḳhush-nasīboñ ko
bahut hai mere liye dard-e-mustaqil merā
sun ai nigāh-e-mohabbat se rūThne vaale
tire ḳhayāl meñ gum hai sukūn-e-dil merā
mire gunāhoñ kā anjām sochne vaale
ye dekh kahtā hai kyā ashk-e-munfa.il merā
do-chār tinkoñ kī duniyā ‘ajīb duniyā thī
ki mutma.in thā har ik tarah jis meñ dil merā
umīd-e-lutf kisī aur se ho kyā 'hāmid'
huā na jab ki mohabbat meñ merā dil merā
fareb de na kahin azm-e-mustaqil mera
hujum-e-yas se ghabra na jae dil mera
ye kis maqam pe pahuncha diya mohabbat ne
ki mere bas mein nahin hai KHud aaj dil mera
mubarak aish ka mahaul KHush-nasibon ko
bahut hai mere liye dard-e-mustaqil mera
sun ai nigah-e-mohabbat se ruThne wale
tere KHayal mein gum hai sukun-e-dil mera
mere gunahon ka anjam sochne wale
ye dekh kahta hai kya ashk-e-munfail mera
do-chaar tinkon ki duniya ‘ajib duniya thi
ki mutmain tha har ek tarah jis mein dil mera
umid-e-lutf kisi aur se ho kya 'hamid'
hua na jab ki mohabbat mein mera dil mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.