fareb-e-husn hai duniya meri nazar ke liye
fareb-e-husn hai duniyā mirī nazar ke liye
nigāh-e-ishq nahīñ husn-e-rahguzar ke liye
qafas meñ rah ke na rote agar ye jānte ham
chaman meñ rah ke bhī ronā hai bāl-o-par ke liye
kisī jabīñ meñ kisī dar ke vāste bhī nahīñ
mirī jabīñ meñ jo sajde haiñ tere dar ke liye
mirī nazar ko jo tarsā rahī thī apne liye
tirī rahī hai vo sūrat mirī nazar ke liye
na chāragar ke liye mujh meñ koī vasf-e-hayāt
na vaj.h-e-mātam-e-marg aah nauhagar ke liye
tamām-umr bhī guzre jo ban ke zulmat-e-shab
kareñ na minnat-e-ḳhurshed ham sahar ke liye
ḳhushā vo daur-e-mohabbat ki vaqf ho jaa.e
jabīn-e-husn mohabbat ke sañg-e-dar ke liye
zamāna aañkh se mujh ko girā ke bhuul gayā
ik ashk thā maiñ zamāne kī chashm-e-tar ke liye
qubūliyat ko agar haiñ ibādateñ darkār
gunāh chāhiyeñ rahmat ko dar-guzar ke liye
kiyā ḳhayāl na apnā bhī kuchh mirī ḳhātir
duā.eñ kī haiñ sitāroñ ne bhī sahar ke liye
chaman ne phuul diye aur shafaq ne rañg diyā
shuā.eñ chāñd ne diiñ terī rahguzar ke liye
vo zindagī hai mohabbat ki jis ke zer-e-asar
nafas nafas meñ ho ik maut umr-bhar ke liye
balā-e-ishq se bismil na rakh umīd-e-najāt
duā-e-sub.h na kar shām-e-be-sahar ke liye
fareb-e-husn hai duniya meri nazar ke liye
nigah-e-ishq nahin husn-e-rahguzar ke liye
qafas mein rah ke na rote agar ye jaante hum
chaman mein rah ke bhi rona hai baal-o-par ke liye
kisi jabin mein kisi dar ke waste bhi nahin
meri jabin mein jo sajde hain tere dar ke liye
meri nazar ko jo tarsa rahi thi apne liye
teri rahi hai wo surat meri nazar ke liye
na chaaragar ke liye mujh mein koi wasf-e-hayat
na wajh-e-matam-e-marg aah nauhagar ke liye
tamam-umr bhi guzre jo ban ke zulmat-e-shab
karen na minnat-e-KHurshed hum sahar ke liye
KHusha wo daur-e-mohabbat ki waqf ho jae
jabin-e-husn mohabbat ke sang-e-dar ke liye
zamana aankh se mujh ko gira ke bhul gaya
ek ashk tha main zamane ki chashm-e-tar ke liye
qubuliyat ko agar hain ibaadaten darkar
gunah chahiyen rahmat ko dar-guzar ke liye
kiya KHayal na apna bhi kuchh meri KHatir
duaen ki hain sitaron ne bhi sahar ke liye
chaman ne phul diye aur shafaq ne rang diya
shuaen chand ne din teri rahguzar ke liye
wo zindagi hai mohabbat ki jis ke zer-e-asar
nafas nafas mein ho ek maut umr-bhar ke liye
bala-e-ishq se bismil na rakh umid-e-najat
dua-e-subh na kar sham-e-be-sahar ke liye
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 279)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.