fareb-e-kasrat-e-jalwa se aashna hun main
fareb-e-kasrat-e-jalva se āshnā huuñ maiñ
tirī qasam tujhe tanhā hī dekhtā huuñ maiñ
qubūl jo nahīñ hotī vo iltijā huuñ maiñ
kabhī jo bar nahīñ aatā vo mudda.ā huuñ maiñ
mujhe na chheḌ dukhe dil kā tājirā huuñ maiñ
tamām qissa-e-nākāmī-e-vafā huuñ maiñ
matā.a-e-ām nahīñ jins-e-be-bahā huuñ maiñ
parakhne vaale parakh jauhar-e-vafā huuñ maiñ
rasā.iyāñ mirī mahdūd haiñ mire dil tak
lab-āshnā nahīñ vo āh-e-nā-rasā huuñ maiñ
mirī hayāt-e-mohabbat hai be-kasī kī hayāt
ḳhud apne haal ko bhī ġhair pā rahā huuñ maiñ
vo rāz-e-fāsh huuñ jis par nazar nahīñ paḌtī
junūñ kā bhes hai aur ishq-e-barmalā huuñ maiñ
ruḳh-e-hazīñ se numāyāñ hai ḳhastagī dil kī
shikast-e-rang-e-tamannā kā aa.ina huuñ maiñ
na koī raah hai merī na koī manzil hai
fazā meñ khoī huī duur kī sadā huuñ maiñ
kahāñ pe dekhiye le jaa.e ishq kī azmat
abhī to daur-e-vafā se guzar rahā huuñ maiñ
bahār-e-gul ki shafaq kā ho manzar-e-rangīñ
tirā hī naqsh-e-tabassum hai jāntā huuñ maiñ
ḳhudā kare ki ye lamhe abad se mil jaa.eñ
vo ashk pūchhte jaate haiñ ro rahā huuñ maiñ
jo tiir ban ke kaleje ke paar hotī hai
shikast-e-sāz kī vo āḳhirī sadā huuñ maiñ
jagah hai mere liye ḳhaas qalb-e-qudrat meñ
dil-e-ġharīb se niklī huī duā huuñ maiñ
'sarosh' mashq-e-gunah bhī kabhī kabhī varna
ḳhudī na baḌh ke ye kahne lage ḳhudā huuñ maiñ
fareb-e-kasrat-e-jalwa se aashna hun main
teri qasam tujhe tanha hi dekhta hun main
qubul jo nahin hoti wo iltija hun main
kabhi jo bar nahin aata wo muddaa hun main
mujhe na chheD dukhe dil ka tajira hun main
tamam qissa-e-nakaami-e-wafa hun main
mataa-e-am nahin jins-e-be-baha hun main
parakhne wale parakh jauhar-e-wafa hun main
rasaiyan meri mahdud hain mere dil tak
lab-ashna nahin wo aah-e-na-rasa hun main
meri hayat-e-mohabbat hai be-kasi ki hayat
KHud apne haal ko bhi ghair pa raha hun main
wo raaz-e-fash hun jis par nazar nahin paDti
junun ka bhes hai aur ishq-e-barmala hun main
ruKH-e-hazin se numayan hai KHastagi dil ki
shikast-e-rang-e-tamanna ka aaina hun main
na koi rah hai meri na koi manzil hai
faza mein khoi hui dur ki sada hun main
kahan pe dekhiye le jae ishq ki azmat
abhi to daur-e-wafa se guzar raha hun main
bahaar-e-gul ki shafaq ka ho manzar-e-rangin
tera hi naqsh-e-tabassum hai jaanta hun main
KHuda kare ki ye lamhe abad se mil jaen
wo ashk puchhte jate hain ro raha hun main
jo tir ban ke kaleje ke par hoti hai
shikast-e-saz ki wo aaKHiri sada hun main
jagah hai mere liye KHas qalb-e-qudrat mein
dil-e-gharib se nikli hui dua hun main
'sarosh' mashq-e-gunah bhi kabhi kabhi warna
KHudi na baDh ke ye kahne lage KHuda hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.