fareb-e-ulfat ki dastan mein asar ki ummid hi kahan hai
fareb-e-ulfat ki dastan mein asar ki ummid hi kahan hai
Jurm Mohammadabadi
MORE BYJurm Mohammadabadi
fareb-e-ulfat kī dāstāñ meñ asar kī ummīd hī kahāñ hai
abhī to mujh ko isī meñ shak hai yaqīñ yaqīñ hai gumāñ gumāñ hai
mujhī tak un kī jafā na samjho ye imtihāñ hai vo imtihāñ hai
vahīñ qayāmat kā sāmnā hai vafā kī manzil jahāñ jahāñ hai
nisāb-e-ulfat se be-ḳhabar hai sanad nahīñ bul-havas kā da.avā
jo lafz merī zabāñ se nikle vahī mohabbat kī dāstāñ hai
kahāñ pahuñch kī aarzū hai tumhāre naqsh-e-qadam pe chal kar
tum apne dil se patā lagāo mirī tamannā kī had kahāñ hai
fareb ban kar nashāt-e-dil kā rahegā kab tak ye aish-e-rafta
badal chukā karvaTeñ zamāna mirī nazar meñ vahī samāñ hai
idhar umañgoñ kī lahar dil meñ udhar javānī kī ḳhud-numā.ī
paḌe haiñ ik kashmakash meñ donoñ mazāq-e-fitrat kā imtihāñ hai
tumhārī ġhaflat-shi.āriyoñ ne vo gul khilā.e ki rañg badlā
qafas kī buniyād rakhne vaale ḳhizāñ ke qabze meñ āshiyāñ hai
palaT gayā 'jurm' ruḳh havā kā haiñ aise āsār ab huvaidā
bahār aa.e na ba.ad jis ke chaman meñ vo mahshar-e-ḳhizāñ hai
fareb-e-ulfat ki dastan mein asar ki ummid hi kahan hai
abhi to mujh ko isi mein shak hai yaqin yaqin hai guman guman hai
mujhi tak un ki jafa na samjho ye imtihan hai wo imtihan hai
wahin qayamat ka samna hai wafa ki manzil jahan jahan hai
nisab-e-ulfat se be-KHabar hai sanad nahin bul-hawas ka dawa
jo lafz meri zaban se nikle wahi mohabbat ki dastan hai
kahan pahunch ki aarzu hai tumhaare naqsh-e-qadam pe chal kar
tum apne dil se pata lagao meri tamanna ki had kahan hai
fareb ban kar nashat-e-dil ka rahega kab tak ye aish-e-rafta
badal chuka karwaTen zamana meri nazar mein wahi saman hai
idhar umangon ki lahar dil mein udhar jawani ki KHud-numai
paDe hain ek kashmakash mein donon mazaq-e-fitrat ka imtihan hai
tumhaari ghaflat-shiariyon ne wo gul khilae ki rang badla
qafas ki buniyaad rakhne wale KHizan ke qabze mein aashiyan hai
palaT gaya 'jurm' ruKH hawa ka hain aise aasar ab huwaida
bahaar aae na baad jis ke chaman mein wo mahshar-e-KHizan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.