fareb khana nahin bar bar chiKHta hai
fareb khānā nahīñ baar baar chīḳhtā hai
nadī kī tah se koī regzār chīḳhtā hai
badan ke ġhaar se be-iḳhtiyār chīḳhtā hai
shikār hone se pahle shikār chīḳhtā hai
tamām din to nahīñ TūTtā tilism-e-sadā
tamām raat bhī bas intizār chīḳhtā hai
udhar na jaanā udhar rāste meñ manzil hai
safar kā lutf sar-e-rahguzār chīḳhtā hai
mahāz-e-jañg meñ pahle harīf tai to hoñ
lagām thāme hue shahsavār chīḳhtā hai
tamām umr kā hāsil hai sirf tanhā.ī
bulandiyoñ se koī kohsār chīḳhtā hai
isī liye to maiñ ḳhud se hī bhāgā phirtā huuñ
koī hai mujh meñ nasīhat-guzār chīḳhtā hai
fareb khana nahin bar bar chiKHta hai
nadi ki tah se koi regzar chiKHta hai
badan ke ghaar se be-iKHtiyar chiKHta hai
shikar hone se pahle shikar chiKHta hai
tamam din to nahin TuTta tilism-e-sada
tamam raat bhi bas intizar chiKHta hai
udhar na jaana udhar raste mein manzil hai
safar ka lutf sar-e-rahguzar chiKHta hai
mahaz-e-jang mein pahle harif tai to hon
lagam thame hue shahsawar chiKHta hai
tamam umr ka hasil hai sirf tanhai
bulandiyon se koi kohsar chiKHta hai
isi liye to main KHud se hi bhaga phirta hun
koi hai mujh mein nasihat-guzar chiKHta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.