fareb khate hue dur ho gae warna
fareb khāte hue duur ho ga.e varna
hameñ thā lauT ke aanā kisī ke ho jaanā
maiñ kostā rahūñ tujh ko koī mile na tujhe
mujhe kabhī na batānā kisī ke ho jaanā
so kis ke saath ho aksar koī karegā savāl
tumheñ paḌegā batānā kisī ke ho jaanā
tujhe yuuñ dekh ke zāhir hai log socheñge
kise milegā ḳhazāna kisī ke ho jaanā
jahāñ meñ is se baḌā jurm kyā koī ho 'vaqār'
kisī kā huuñ ye jatānā kisī ke ho jaanā
fareb khate hue dur ho gae warna
hamein tha lauT ke aana kisi ke ho jaana
main kosta rahun tujh ko koi mile na tujhe
mujhe kabhi na batana kisi ke ho jaana
so kis ke sath ho aksar koi karega sawal
tumhein paDega batana kisi ke ho jaana
tujhe yun dekh ke zahir hai log sochenge
kise milega KHazana kisi ke ho jaana
jahan mein is se baDa jurm kya koi ho 'waqar'
kisi ka hun ye jatana kisi ke ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.