Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

farebi shirin ziyaada zahin logon se

Varun Anand

farebi shirin ziyaada zahin logon se

Varun Anand

MORE BYVarun Anand

    farebī shīrīñ ziyāda zahīn logoñ se

    gurez kartā huuñ maiñ aise tiin logoñ se

    faqīr auliyā shā.ir matīn logoñ se

    milā-julā karo in behtarīn logoñ se

    ye kitnī lāsheñ saheje kahāñ kahāñ rakkhe

    ki tang aa ga.ī hai ab zamīn logoñ se

    yaqīn kar vo tire paas lauT aa.egā

    jab us uThne lagegā yaqīn logoñ se

    tum us ke husn par jab jab bhī tabsira karnā

    to pahle mashvara lenā hasīn logoñ se

    ye māñgne pe kahāñ kuchh kisī ko dete haiñ

    jo terā haq hai use laḌ ke chhīn logoñ se

    farebi shirin ziyaada zahin logon se

    gurez karta hun main aise tin logon se

    faqir auliya shair matin logon se

    mila-jula karo in behtarin logon se

    ye kitni lashen saheje kahan kahan rakkhe

    ki tang aa gai hai ab zamin logon se

    yaqin kar wo tere pas lauT aaega

    jab us ka uThne lagega yaqin logon se

    tum us ke husn par jab jab bhi tabsira karna

    to pahle mashwara lena hasin logon se

    ye mangne pe kahan kuchh kisi ko dete hain

    jo tera haq hai use laD ke chhin logon se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now