farhad kis umid pe lata hai ju-e-shir
farhād kis umiid pe laatā hai jū-e-shīr
vaañ ḳhuun kī havas hai nahīñ ārzū-e-shīr
hai us javāñ kī baat meñ ab to lahū kī baas
ve din ga.e ki aatī thī us muñh se bū-e-shīr
hote hī sub.h aah gayā māh-e-chār-dah
sābit huā mujhe ki namak hai adū-e-shīr
hasrat hī dil meñ kohkan āḳhir ye le gayā
shīrīñ ne apnī āñkhoñ bhī dekhā na rū-e-shīr
us duudh kā ḳhudā kare kaasa hameñ nasīb
jannat meñ panj-tan kī jo bahtī hai jū-e-shīr
'āshiq haiñ apne ḳhūn-e-jigar-ḳhvār zahr-nosh
raġhbat taraf shakar ke hai un ko na sū-e-shīr
jin ko baġhair sa'ī vo shīrīñ-dahan mile
kho deñ na koh vo na kareñ justujū-e-shīr
milte hī us se dil kī girah mere khul ga.ī
'uqde shakar ke jaise khuleñ rū-ba-rū-e-shīr
phir duudh kī buḌhāpe meñ aave na muñh se baas
āḳhir kahāñ talak ye 'bayāñ' guftugū-e-shīr
farhad kis umid pe lata hai ju-e-shir
wan KHun ki hawas hai nahin aarzu-e-shir
hai us jawan ki baat mein ab to lahu ki bas
we din gae ki aati thi us munh se bu-e-shir
hote hi subh aah gaya mah-e-chaar-dah
sabit hua mujhe ki namak hai adu-e-shir
hasrat hi dil mein kohkan aaKHir ye le gaya
shirin ne apni aankhon bhi dekha na ru-e-shir
us dudh ka KHuda kare kasa hamein nasib
jannat mein panj-tan ki jo bahti hai ju-e-shir
'ashiq hain apne KHun-e-jigar-KHwar zahr-nosh
raghbat taraf shakar ke hai un ko na su-e-shir
jin ko baghair sa'i wo shirin-dahan mile
kho den na koh wo na karen justuju-e-shir
milte hi us se dil ki girah mere khul gai
'uqde shakar ke jaise khulen ru-ba-ru-e-shir
phir dudh ki buDhape mein aawe na munh se bas
aaKHir kahan talak ye 'bayan' guftugu-e-shir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.