farhat-e-bu-e-saman nikhat-e-raihan-e-ghazal
farhat-e-bū-e-saman nik.hat-e-raihān-e-ġhazal
tujh se raushan hai mirī sham.a-e-shabistān-e-ġhazal
bū-e-gul le ke sabā aa.ī ghaTā.eñ chhā.īñ
phir uThā qulzum-e-jazbāt meñ tūfān-e-ġhazal
āsmāñ chāñd sitāroñ se sajā sham.a jalī
shaam kyā aa.ī ki raushan huā aivān-e-ġhazal
zulm hai reshmīñ ehsās pe ḳhanjar rakhnā
nukta-chīñ hosh ki nāzuk hai rag-e-jān-e-ġhazal
zarra sahrā hai yahāñ qatra samundar hai yahāñ
koī dekhe to zarā vus.at-e-dāmān-e-ġhazal
dil mirā pech-o-ḳham-e-gesu-e-urdū kā asiir
fan mirā shāna-kash-e-zulf-e-pareshān-e-ġhazal
zaḳhm khā jaa.e rag-e-gul se ajab kyā hai 'ayāz'
vo jo mahsūs kare siine meñ paikān-e-ġhazal
farhat-e-bu-e-saman nikhat-e-raihan-e-ghazal
tujh se raushan hai meri shama-e-shabistan-e-ghazal
bu-e-gul le ke saba aai ghaTaen chhain
phir uTha qulzum-e-jazbaat mein tufan-e-ghazal
aasman chand sitaron se saja shama jali
sham kya aai ki raushan hua aiwan-e-ghazal
zulm hai reshmin ehsas pe KHanjar rakhna
nukta-chin hosh ki nazuk hai rag-e-jaan-e-ghazal
zarra sahra hai yahan qatra samundar hai yahan
koi dekhe to zara wusat-e-daman-e-ghazal
dil mera pech-o-KHam-e-gesu-e-urdu ka asir
fan mera shana-kash-e-zulf-e-pareshan-e-ghazal
zaKHm kha jae rag-e-gul se ajab kya hai 'ayaz'
wo jo mahsus kare sine mein paikan-e-ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.