KHuda KHamosh bande bolte hain
ḳhudā ḳhāmosh bande bolte haiñ
baḌe chup hoñ to bachche bolte haiñ
suno sargoshiyāñ kuchh kah rahī haiñ
zabāñ-bandī meñ aise bolte haiñ
mohabbat kaise chhat par jaa.e chhup kar
qadam rakhte hī ziine bolte haiñ
nashe meñ jhūmne lagte haiñ ma.anī
to lafzoñ meñ karishme bolte haiñ
ye ham zindoñ se mumkin hī nahīñ hai
jo kuchh murdoñ se murde bolte haiñ
ham insānoñ ko aatā hai bas ik shor
tarannum meñ parinde bolte haiñ
ḳhamoshī suntī hai jab apnī āvāz
to sīnoñ meñ dafīne bolte haiñ
maiñ paiġhambar nahīñ huuñ phir bhī mujh meñ
ka.ī gum-sum sahīfe bolte haiñ
yahī hai vaqt bolo 'farhat-ehsās'
ki har jānib kamīne bolte haiñ
KHuda KHamosh bande bolte hain
baDe chup hon to bachche bolte hain
suno sargoshiyan kuchh kah rahi hain
zaban-bandi mein aise bolte hain
mohabbat kaise chhat par jae chhup kar
qadam rakhte hi zine bolte hain
nashe mein jhumne lagte hain mani
to lafzon mein karishme bolte hain
ye hum zindon se mumkin hi nahin hai
jo kuchh murdon se murde bolte hain
hum insanon ko aata hai bas ek shor
tarannum mein parinde bolte hain
KHamoshi sunti hai jab apni aawaz
to sinon mein dafine bolte hain
main paighambar nahin hun phir bhi mujh mein
kai gum-sum sahife bolte hain
yahi hai waqt bolo 'farhat-ehsas'
ki har jaanib kamine bolte hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 118)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.