farishte dhyan lagae utarne lagte hain
farishte dhyān lagā.e utarne lagte haiñ
jo saath tum ho to lamhe sañvarne lagte haiñ
vo ek yaad kī dastak jo dil pe hotī hai
mire ḳhazāne ke motī bikharne lagte haiñ
us ik nigāh kī tāsīr yuuñ samajh liije
ham apne aap se milne meñ Darne lagte haiñ
ye aa.ine ke alāva sifat kisī meñ nahīñ
sañvarne vaale sarāpā bikharne lagte haiñ
sajānī hotī hai jis raat chāñd ko mahfil
sitāre shaam se chhat par utarne lagte haiñ
dikhā.ī de to lipaT jā.ūñ us sadā se maiñ
ki jis ko sun ke 'sabā' phuul jharne lagte haiñ
farishte dhyan lagae utarne lagte hain
jo sath tum ho to lamhe sanwarne lagte hain
wo ek yaad ki dastak jo dil pe hoti hai
mere KHazane ke moti bikharne lagte hain
us ek nigah ki tasir yun samajh lije
hum apne aap se milne mein Darne lagte hain
ye aaine ke alawa sifat kisi mein nahin
sanwarne wale sarapa bikharne lagte hain
sajaani hoti hai jis raat chand ko mahfil
sitare sham se chhat par utarne lagte hain
dikhai de to lipaT jaun us sada se main
ki jis ko sun ke 'saba' phul jharne lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.