Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fariyaad ki wo shoKH sitamgar na aaya

Obaidullah Khan Mubtala

fariyaad ki wo shoKH sitamgar na aaya

Obaidullah Khan Mubtala

MORE BYObaidullah Khan Mubtala

    fariyād ki vo shoḳh sitamgār na aayā

    mujh qatl kuuñ le haath meñ talvār na aayā

    maiñ pamba-naman narm kiyā bistar-e-tan kuuñ

    vo piū qadam dharne ko yakbār na aayā

    chhuT aah pichhe kaun mire dard ahvāl

    mujh dukh ḳhabar lene vo ġham-ḳhvār na aayā

    jaane hai vafādār mujhe dil mane lekin

    dahshat se raqībāñ vo nā-chār na aayā

    ārām gayā bhuuk nahīñ niiñd ga.ī bhuul

    afsos ki vo tāla-e-bedār na aayā

    bulbul naman aas hai nit baas mujh kuuñ

    sad-haif mire paas vo gulzār na aayā

    bāzār-e-suḳhan garm kiyā us sifat suuñ

    mujh sher haihāt ḳharīdār na aayā

    likh baar sahā baaġh meñ maalī tahūrā

    par sair katīñ vo gul-e-be-e-ḳhār na aayā

    ai 'mubtalā' ye baat likhā dil ke upar maiñ

    ik roz mujh āġhosh meñ vo yaar na aayā

    fariyaad ki wo shoKH sitamgar na aaya

    mujh qatl kun le hath mein talwar na aaya

    main pamba-naman narm kiya bistar-e-tan kun

    wo piu qadam dharne ko yakbar na aaya

    chhuT aah pichhe kaun mere dard ka ahwal

    mujh dukh ki KHabar lene wo gham-KHwar na aaya

    jaane hai wafadar mujhe dil mane lekin

    dahshat se raqiban ki wo na-chaar na aaya

    aaram gaya bhuk nahin nind gai bhul

    afsos ki wo tala-e-bedar na aaya

    bulbul ki naman aas hai nit bas ki mujh kun

    sad-haif mere pas wo gulzar na aaya

    bazar-e-suKHan garm kiya us ki sifat sun

    mujh sher ka haihat KHaridar na aaya

    likh bar saha bagh mein mali ka tahura

    par sair katin wo gul-e-be-e-KHar na aaya

    ai 'mubtala' ye baat likha dil ke upar main

    ek roz mujh aaghosh mein wo yar na aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now