fariyaad nahin ashk nahin aah nahin hai
fariyād nahīñ ashk nahīñ aah nahīñ hai
ai ishq tirā koī havā-ḳhvāh nahīñ hai
go dard-e-tamannā ko baḌhātā hai tirā zikr
dil phir bhī tire naam se āgāh nahīñ hai
ai husn-e-yaqīñ dair-o-haram kī hai fazā tañg
is dar se palaTne kī koī raah nahīñ hai
ye kis ne uḌaa.ī ki mujhe ishq hai tum se
haañ tum ko yaqīñ aa.e to afvāh nahīñ hai
āsā.ish-e-tan ruuh kā āzār hai 'qaisar'
duniyā meñ ġham-e-ishq se tanḳhvāh nahīñ hai
fariyaad nahin ashk nahin aah nahin hai
ai ishq tera koi hawa-KHwah nahin hai
go dard-e-tamanna ko baDhata hai tera zikr
dil phir bhi tere nam se aagah nahin hai
ai husn-e-yaqin dair-o-haram ki hai faza tang
is dar se palaTne ki koi rah nahin hai
ye kis ne uDai ki mujhe ishq hai tum se
han tum ko yaqin aae to afwah nahin hai
aasaish-e-tan ruh ka aazar hai 'qaisar'
duniya mein gham-e-ishq se tanKHwah nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.