Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fariyaad nahin shukr-e-sitam karte rahenge

Yadgar Husain Nashtar Khairabadi

fariyaad nahin shukr-e-sitam karte rahenge

Yadgar Husain Nashtar Khairabadi

MORE BYYadgar Husain Nashtar Khairabadi

    fariyād nahīñ shukr-e-sitam karte raheñge

    ham ḳhud unheñ majbūr-e-karam karte raheñge

    ka.abe ko shikāyat hai to ho apne ḳhudā se

    sajde to dar-e-yār pe ham karte raheñge

    duniyā ko sunāne ke liye sher sūrat

    jo ham pe guzartī hai raqam karte raheñge

    mai-ḳhāna salāmat rahe ham duur se 'nashtar'

    nazzārgī-e-dair-o-haram karte raheñge

    fariyaad nahin shukr-e-sitam karte rahenge

    hum KHud unhen majbur-e-karam karte rahenge

    kabe ko shikayat hai to ho apne KHuda se

    sajde to dar-e-yar pe hum karte rahenge

    duniya ko sunane ke liye sher ki surat

    jo hum pe guzarti hai raqam karte rahenge

    mai-KHana salamat rahe hum dur se 'nashtar'

    nazzargi-e-dair-o-haram karte rahenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now