farogh-e-kasrat-e-jalwa se KHud tamasha hun
faroġh-e-kasrat-e-jalva se ḳhud tamāshā huuñ
maiñ us ke sāmne baiThā huuñ aur tanhā huuñ
nigāh-e-shauq-o-dil-e-muztarib haiñ zād-e-safar
shikasta-pā huuñ sar-e-rahguzār baiThā huuñ
baḌhā.ūñ dast-e-talab kyā ki zarf maane hai
lab-e-furāt khaḌā huuñ maiñ aur pyāsā huuñ
maiñ apnī zaat meñ ik kā.enāt huuñ ḳhud bhī
agarche zarra huuñ lekin muhīt-e-sahrā huuñ
bikhertā huuñ fazāoñ meñ qahqahe 'at.har'
matā'-e-dard ko dil meñ chhupā.e phirtā huuñ
farogh-e-kasrat-e-jalwa se KHud tamasha hun
main us ke samne baiTha hun aur tanha hun
nigah-e-shauq-o-dil-e-muztarib hain zad-e-safar
shikasta-pa hun sar-e-rahguzar baiTha hun
baDhaun dast-e-talab kya ki zarf mane hai
lab-e-furaat khaDa hun main aur pyasa hun
main apni zat mein ek kaenat hun KHud bhi
agarche zarra hun lekin muhit-e-sahra hun
bikherta hun fazaon mein qahqahe 'athar'
mata'-e-dard ko dil mein chhupae phirta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.