farogh-e-sham ka manzar us aaftab mein tha
faroġh-e-shām kā manzar us āftāb meñ thā
kiran kiran vo ujālā thā par hijāb meñ thā
tire badan kī tamāzat thī jis se aag lagī
chaman meñ barq na sho.ala koī gulāb meñ thā
mire qarīb rahā phir bhī mujh ko paḌh na sakā
mirā vajūd to mahfūz ik kitāb meñ thā
zamāne-bhar kī nazar se jo bach gayā yaaro
vo shaḳhs merī nigāhoñ ke intiḳhāb meñ thā
khulā jo nāma-e-a.amāl hashr meñ merā
bas ek jurm-e-mohabbat mire hisāb meñ thā
maiñ āshnā-e-mohabbat to be-qarār hī thā
vo āshnā-e-mohabbat na thā azaab meñ thā
maiñ dekhtā hī rahā pattharoñ kī bārish meñ
mire habīb kā chehra bhī ik naqāb meñ thā
farogh-e-sham ka manzar us aaftab mein tha
kiran kiran wo ujala tha par hijab mein tha
tere badan ki tamazat thi jis se aag lagi
chaman mein barq na shoala koi gulab mein tha
mere qarib raha phir bhi mujh ko paDh na saka
mera wajud to mahfuz ek kitab mein tha
zamane-bhar ki nazar se jo bach gaya yaro
wo shaKHs meri nigahon ke intiKHab mein tha
khula jo nama-e-amal hashr mein mera
bas ek jurm-e-mohabbat mere hisab mein tha
main aashna-e-mohabbat to be-qarar hi tha
wo aashna-e-mohabbat na tha azab mein tha
main dekhta hi raha pattharon ki barish mein
mere habib ka chehra bhi ek naqab mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.