farogh-e-zulmat-e-shab tak hi jagmagaenge
faroġh-e-zulmat-e-shab tak hī jagmagā.eñge
sahar huī to sitāre nazar na ā.eñge
davām sirf haqīqat ko hai zamāne meñ
jo dāstāñ hai use log bhuul jā.eñge
bhaTak rahe haiñ jo manzil kī justujū meñ abhī
vahī safar ke na.e zāviye banā.eñge
harīf-e-mauj-o-talātum hoñ sab ye nā-mumkin
nahīf haiñ jo safīne vo Duub jā.eñge
hamāre zehn abhī itne nukta-ras haiñ kahāñ
tirī nazar ke ishāre samajh na pā.eñge
jafā se un kī jo tartīb pā rahī hai abhī
vo dāstāñ bhī sar-e-anjuman sunā.eñge
'nasīr' tark-e-ta.alluq hī un se behtar hai
vafā ke naam pe kab tak fareb khā.eñge
farogh-e-zulmat-e-shab tak hi jagmagaenge
sahar hui to sitare nazar na aaenge
dawam sirf haqiqat ko hai zamane mein
jo dastan hai use log bhul jaenge
bhaTak rahe hain jo manzil ki justuju mein abhi
wahi safar ke nae zawiye banaenge
harif-e-mauj-o-talatum hon sab ye na-mumkin
nahif hain jo safine wo Dub jaenge
hamare zehn abhi itne nukta-ras hain kahan
teri nazar ke ishaare samajh na paenge
jafa se un ki jo tartib pa rahi hai abhi
wo dastan bhi sar-e-anjuman sunaenge
'nasir' tark-e-talluq hi un se behtar hai
wafa ke nam pe kab tak fareb khaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.