farq jab tak andheron ujalon mein tha
farq jab tak añdheroñ ujāloñ meñ thā
tum javāboñ meñ the maiñ savāloñ meñ thā
ik ġhazal kyā kahī maiñ ne tere liye
tazkira us kā kitne risāloñ meñ thā
mere chehre pe raunaq thī lab pe hañsī
in dinoñ jab zamāna zavāloñ meñ thā
aarzū us kī mere hī dil meñ na thī
maiñ bhī bachpan se us ke ḳhayāloñ meñ thā
machhliyāñ pyaas se muztarib thiiñ 'asad'
ban ke kaalī ghaTā abr bāloñ meñ thā
farq jab tak andheron ujalon mein tha
tum jawabon mein the main sawalon mein tha
ek ghazal kya kahi main ne tere liye
tazkira us ka kitne risalon mein tha
mere chehre pe raunaq thi lab pe hansi
in dinon jab zamana zawalon mein tha
aarzu us ki mere hi dil mein na thi
main bhi bachpan se us ke KHayalon mein tha
machhliyan pyas se muztarib thin 'asad'
ban ke kali ghaTa abr baalon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.