farq tujhse hai ek zara mujh mein
farq tujh se hai ik zarā mujh meñ
sang tujh meñ hai aa.ina mujh meñ
bebasī kī faqat kitāb nahīñ
azm-e-mohkam bhī hai likhā mujh meñ
fahm-o-dānish kā nuur huuñ yaksar
fikr kā jaltā hai diyā mujh meñ
mahr-o-īsār kā samundar huuñ
aur dariyā hai pyaar kā mujh meñ
mujh meñ jharnā hai narm-ḳhūī kā
saath laavā bhī hai chhupā mujh meñ
mere qadmoñ tale hai jannat bhī
aur dozaḳh kā rāsta mujh meñ
mere har ġham kā tū masīhā hai
tere har dukh kī hai davā mujh meñ
sab ravayye pe tere hai mauqūf
ḳhaar ugā de yā gul khilā mujh meñ
farq tujh se hai ek zara mujh mein
sang tujh mein hai aaina mujh mein
bebasi ki faqat kitab nahin
azm-e-mohkam bhi hai likha mujh mein
fahm-o-danish ka nur hun yaksar
fikr ka jalta hai diya mujh mein
mahr-o-isar ka samundar hun
aur dariya hai pyar ka mujh mein
mujh mein jharna hai narm-KHui ka
sath lawa bhi hai chhupa mujh mein
mere qadmon tale hai jannat bhi
aur dozaKH ka rasta mujh mein
mere har gham ka tu masiha hai
tere har dukh ki hai dawa mujh mein
sab rawayye pe tere hai mauquf
KHar uga de ya gul khila mujh mein
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.