farsh se arsh pe aawaz lagai maine
farsh se 'arsh pe āvāz lagā.ī maiñ ne
dāstāñ dard kī har gaam sunā.ī maiñ ne
ḳhāmushī dard ke 'unvān se tahrīr huī
ziist ko dār-o-rasan tak dī rasā.ī maiñ ne
tez bārish se dar-o-bām mahak uTThe the
hālat-e-‘ishq meñ jab dhuum machā.ī maiñ ne
maiñ ne qirtās pe har zaḳhm sajāyā aur phir
jāgtī āñkhoñ kī tasvīr banā.ī maiñ ne
kyā sitam hai ki tire baa'd jo taklīf huī
us kī rūdād kisī ko na sunā.ī maiñ ne
dekh kar aap ko us ḳhvāb-nagar meñ shab bhar
apnī soī huī taqdīr jagā.ī maiñ ne
kyā batā.ūñ maiñ zamāne kī tabāhī kā sabab
bas tire naam pe likh dī hai ḳhudā.ī maiñ ne
zindagī kār-e-mohabbat ke 'alāva nahīñ kuchh
apnī har saañs meñ ye baat samā.ī maiñ ne
ruuh sī phūñk gayā jism ke andar vo 'umūd'
giilī miTTī pe 'ajab shakl dikhā.ī maiñ ne
farsh se 'arsh pe aawaz lagai main ne
dastan dard ki har gam sunai main ne
KHamushi dard ke 'unwan se tahrir hui
zist ko dar-o-rasan tak di rasai main ne
tez barish se dar-o-baam mahak uTThe the
haalat-e-‘ishq mein jab dhum machai main ne
main ne qirtas pe har zaKHm sajaya aur phir
jagti aankhon ki taswir banai main ne
kya sitam hai ki tere ba'd jo taklif hui
us ki rudad kisi ko na sunai main ne
dekh kar aap ko us KHwab-nagar mein shab bhar
apni soi hui taqdir jagai main ne
kya bataun main zamane ki tabahi ka sabab
bas tere nam pe likh di hai KHudai main ne
zindagi kar-e-mohabbat ke 'alawa nahin kuchh
apni har sans mein ye baat samai main ne
ruh si phunk gaya jism ke andar wo 'umud'
gili miTTi pe 'ajab shakl dikhai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.