fart-e-alam se aah kiye ja raha hun main
fart-e-alam se aah kiye jā rahā huuñ maiñ
ai 'ishq kyā gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
maqbūl hoñge dahr meñ dāġh-e-jigar mire
un ko charāġh-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
ranj-o-alam kā lutf uThāne ke vāste
rāhat se bhī nibāh kiye jā rahā huuñ maiñ
gulzār-e-kām-rānī o duniyā-e-ārzū
ā'māl se tabāh kiye jā rahā huuñ maiñ
mujh ko 'atā huā thā dil-e-ā.inā-jamāl
sad haif use siyāh kiye jā rahā huuñ maiñ
ġham kah rahā hai kaun hai mujhe se sivā 'azīz
sab ke diloñ meñ raah kiye jā rahā huuñ maiñ
fart-e-alam se aah kiye ja raha hun main
ai 'ishq kya gunah kiye ja raha hun main
maqbul honge dahr mein dagh-e-jigar mere
un ko charagh-e-rah kiye ja raha hun main
ranj-o-alam ka lutf uThane ke waste
rahat se bhi nibah kiye ja raha hun main
gulzar-e-kaam-rani o duniya-e-arzu
aa'mal se tabah kiye ja raha hun main
mujh ko 'ata hua tha dil-e-aina-jamal
sad haif use siyah kiye ja raha hun main
gham kah raha hai kaun hai mujhe se siwa 'aziz
sab ke dilon mein rah kiye ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.