fart-e-kahish ki inayat se pinhan ho kar
fart-e-kahish ki inayat se pinhan ho kar
Munshi Khairati Laal Shagufta
MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta
fart-e-kāhish kī ināyāt se pinhāñ ho kar
yaar ke dil meñ rahā kartā huuñ armāñ ho kar
vasl kī shab meñ rag-e-kākul-e-pechāñ ho kar
un kī gardan se lipaTtā huuñ garebāñ ho kar
zulf kī yaad shab-e-hijr meñ afsos afsos
jī Darātī hai mirā af.ī-e-pechāñ ho kar
koī kahtā hai jo achchhī to samajhtā huuñ burī
josh-e-ulfat se mizāj-e-but-e-nādāñ ho kar
sāqiyā mahfil-e-zindāñ meñ urūs-e-bāda
bar meñ sāġhar ke rahā kartī hai jānāñ ho kar
bhar diyā ashk-e-guhar-zā se hamārā dāman
shab-e-ġham meñ sadaf-e-chashm ne naisāñ ho kar
joshish-e-ishq ye dekho ki dil-e-dilbar meñ
aaya ġhusse kī tarah niklā maiñ armāñ ho kar
kaar mansūr kā furqat meñ dikhāte haiñ tujhe
dār-e-mizhgāñ pe mire ashk numāyāñ ho kar
parvarish sāya-e-gardan ne kiyā hai ham ko
muddatoñ tak rahe paivand-e-garebāñ ho kar
josh par aatī hai jis vaqt ki betābī-e-dil
uTh khaḌā hotā huuñ tāzīm-e-bayābāñ ho kar
tā-dam-e-zīst rahā yār-e-parī-rū tasḳhīr
harf-e-ḳhātam hue ham naqsh-e-sulaimāñ ho kar
ḳhaak hone pe rahā āshiq-o-māshūq se rabt
gor-e-bulbul banī āġhosh-e-gulistāñ ho kar
duḳht-e-raz lailā ke mānind hayā kartī hai
mahmil-e-shīsha meñ har tarah se pinhāñ ho kar
mehrbānī sifat-e-ashk kiyā karte haiñ
ai 'shagufta' vo mirī god meñ shādāñ ho kar
fart-e-kahish ki inayat se pinhan ho kar
yar ke dil mein raha karta hun arman ho kar
wasl ki shab mein rag-e-kakul-e-pechan ho kar
un ki gardan se lipaTta hun gareban ho kar
zulf ki yaad shab-e-hijr mein afsos afsos
ji Daraati hai mera afi-e-pechan ho kar
koi kahta hai jo achchhi to samajhta hun buri
josh-e-ulfat se mizaj-e-but-e-nadan ho kar
saqiya mahfil-e-zindan mein urus-e-baada
bar mein saghar ke raha karti hai jaanan ho kar
bhar diya ashk-e-guhar-za se hamara daman
shab-e-gham mein sadaf-e-chashm ne naisan ho kar
joshish-e-ishq ye dekho ki dil-e-dilbar mein
aaya ghusse ki tarah nikla main arman ho kar
kar mansur ka furqat mein dikhate hain tujhe
dar-e-mizhgan pe mere ashk numayan ho kar
parwarish saya-e-gardan ne kiya hai hum ko
muddaton tak rahe paiwand-e-gareban ho kar
josh par aati hai jis waqt ki betabi-e-dil
uTh khaDa hota hun tazim-e-bayaban ho kar
ta-dam-e-zist raha yar-e-pari-ru tasKHir
harf-e-KHatam hue hum naqsh-e-sulaiman ho kar
KHak hone pe raha aashiq-o-mashuq se rabt
gor-e-bulbul bani aaghosh-e-gulistan ho kar
duKHt-e-raz laila ke manind haya karti hai
mahmil-e-shisha mein har tarah se pinhan ho kar
mehrbani sifat-e-ashk kiya karte hain
ai 'shagufta' wo meri god mein shadan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.