farzi dawedar hai
farzī da.avedār hai
apnī jo bhī yaarī hai
mere va.ade par mat jā
ye bilkul sarkārī hai
vaqt ko koso ke us kī
rag rag meñ makkārī hai
aur bhalā kyā hai jiinā
marne kī tayyārī hai
ik bas tū hī hai terā
baaqī duniyā daarī hai
aur to kyā karte tanhā
ḳhud se hī jhak maarī hai
tum ko paḌh kar bhuul gayā
dil bhī kaisā kaarī hai
dil ne ishq kī nākāmī
qismat par de maarī hai
ġham ko amaañ denā 'āfī'
sadmoñ kī fankārī hai
farzi dawedar hai
apni jo bhi yari hai
mere wade par mat ja
ye bilkul sarkari hai
waqt ko koso ke us ki
rag rag mein makkari hai
aur bhala kya hai jina
marne ki tayyari hai
ek bas tu hi hai tera
baqi duniya dari hai
aur to kya karte tanha
KHud se hi jhak mari hai
tum ko paDh kar bhul gaya
dil bhi kaisa kari hai
dil ne ishq ki nakaami
qismat par de mari hai
gham ko aman dena 'afi'
sadmon ki fankari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.