fasad-e-duniya miTa chuke hain husul-e-hasti miTa chuke hain
fasad-e-duniya miTa chuke hain husul-e-hasti miTa chuke hain
Bhartendu Harishchandra
MORE BYBhartendu Harishchandra
fasād-e-duniyā miTā chuke haiñ husūl-e-hastī miTā chuke haiñ
ḳhudā.ī apne meñ pā chuke haiñ mujhe gale ye lagā chuke haiñ
nahīñ nazākat se ham meñ tāqat uThā.eñ jo nāz-e-hūr-e-jannat
ki nāz-e-shamshīr-e-pur-nazākat ham apne sar par uThā chuke haiñ
najāt ho yā sazā ho merī mile jahannam ki pā.ūñ jannat
ham ab to un ke qadam pe apnā gunah-bharā sar jhukā chuke haiñ
nahīñ zabāñ meñ hai itnī tāqat jo shukr laa.eñ bajā ham un kā
ki dām-e-hastī se mujh ko apne ik haath meñ vo chhuḌā chuke haiñ
vajūd se ham adam meñ aa kar makīñ hue lā-makāñ ke jā kar
ham apne ko un kī teġh khā kar miTā miTā kar banā chuke haiñ
yahī haiñ adnā sī ik adā se jinhoñ ne barham hai ki ḳhudā.ī
yahī haiñ aksar qazā ke jin se farishte bhī zak uThā chuke haiñ
ye kah do bas maut se ho ruḳhsat kyuuñ nāhaq aa.ī hai us kī shāmat
ki dar talak vo masīh-ḳhaslat mirī ayādat ko aa chuke haiñ
jo baat maane to ain shafqat na maane to ain husn-e-ḳhūbī
'rasā' bhalā ham ko daḳhl kyā ab ham apnī hālat sunā chuke haiñ
fasad-e-duniya miTa chuke hain husul-e-hasti miTa chuke hain
KHudai apne mein pa chuke hain mujhe gale ye laga chuke hain
nahin nazakat se hum mein taqat uThaen jo naz-e-hur-e-jannat
ki naz-e-shamshir-e-pur-nazakat hum apne sar par uTha chuke hain
najat ho ya saza ho meri mile jahannam ki paun jannat
hum ab to un ke qadam pe apna gunah-bhara sar jhuka chuke hain
nahin zaban mein hai itni taqat jo shukr laen baja hum un ka
ki dam-e-hasti se mujh ko apne ek hath mein wo chhuDa chuke hain
wajud se hum adam mein aa kar makin hue la-makan ke ja kar
hum apne ko un ki tegh kha kar miTa miTa kar bana chuke hain
yahi hain adna si ek ada se jinhon ne barham hai ki KHudai
yahi hain aksar qaza ke jin se farishte bhi zak uTha chuke hain
ye kah do bas maut se ho ruKHsat kyun nahaq aai hai us ki shamat
ki dar talak wo masih-KHaslat meri ayaadat ko aa chuke hain
jo baat mane to ain shafqat na mane to ain husn-e-KHubi
'rasa' bhala hum ko daKHl kya ab hum apni haalat suna chuke hain
- Book : Bhartendu Samagr (Pg. 272)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.