fasana-e-gham-e-dil aapko suna dete
fasāna-e-ġham-e-dil aap ko sunā dete
ġhurūr-e-husn ko ham aur kuchh baḌhā dete
nigāh-e-shauq pe ilzām-e-hashr aa jaatā
jo aap hashr se pahle naqāb uThā dete
nigāh-e-nāz se ik baar dekh lete idhar
tumhārī nazroñ ko ham umr bhar duā dete
ḳhatā muaaf na hotī ye garmi-e-mahfil
ham apnā dil na agar sham.a saañ jalā dete
matā-e-zīst usī dard ko samajhte haiñ
vagarna yaad tirī dil se ham bhulā dete
ye gulshan apnī hī rañgīniyoñ pe nāzāñ hai
na jaane ahl-e-nazar haiñ kise duā dete
ḳhayāl-e-zulf rahā maqsad-e-hayāt 'shamīm'
bahār-e-shām-e-chaman par dhyān kyā dete
fasana-e-gham-e-dil aap ko suna dete
ghurur-e-husn ko hum aur kuchh baDha dete
nigah-e-shauq pe ilzam-e-hashr aa jata
jo aap hashr se pahle naqab uTha dete
nigah-e-naz se ek bar dekh lete idhar
tumhaari nazron ko hum umr bhar dua dete
KHata muaf na hoti ye garmi-e-mahfil
hum apna dil na agar shama san jala dete
mata-e-zist usi dard ko samajhte hain
wagarna yaad teri dil se hum bhula dete
ye gulshan apni hi ranginiyon pe nazan hai
na jaane ahl-e-nazar hain kise dua dete
KHayal-e-zulf raha maqsad-e-hayat 'shamim'
bahaar-e-sham-e-chaman par dhyan kya dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.