fasana-e-gham-e-jaanan kisi pe bar nahin
fasana-e-gham-e-jaanan kisi pe bar nahin
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
fasāna-e-ġham-e-jānāñ kisī pe baar nahīñ
ab apne dil ke sivā koī rāzdār nahīñ
mirī nigāh kī rif'at pe hai madār us kā
tirī adā pe mohabbat kā inhisār nahīñ
badal na jaa.e kahīñ mere e'timād kā ruḳh
vo mo'tabar hai yahāñ jis kā e'tibār nahīñ
ik aisā jaam idhar bhī bahār ke saaqī
ba-qadr-e-zarf abhī tak mujhe ḳhumār nahīñ
ba-zid hai aaj jahāñ ko tabāh karne par
ye aadmī ki jise koī iḳhtiyār nahīñ
kuchh is tarah se huī hai chaman kī nashv-o-numā
mirī nigāh kī had tak kahīñ bahār nahīñ
ḳhizāñ-nasīb haiñ ab tak fazā.eñ gulshan kī
chaman ke zarf meñ gunjā.ish-e-bahār nahīñ
fazā.eñ guuñj uTheñgī mire tarānoñ se
ḳhamosh huuñ ki abhī mausam-e-bahār nahīñ
mizāj dil kā samajh meñ na aa sakā 'maikash'
ḳhushī bhī raas nahīñ ġham bhī sāzgār nahīñ
fasana-e-gham-e-jaanan kisi pe bar nahin
ab apne dil ke siwa koi raazdar nahin
meri nigah ki rif'at pe hai madar us ka
teri ada pe mohabbat ka inhisar nahin
badal na jae kahin mere e'timad ka ruKH
wo mo'tabar hai yahan jis ka e'tibar nahin
ek aisa jam idhar bhi bahaar ke saqi
ba-qadr-e-zarf abhi tak mujhe KHumar nahin
ba-zid hai aaj jahan ko tabah karne par
ye aadmi ki jise koi iKHtiyar nahin
kuchh is tarah se hui hai chaman ki nashw-o-numa
meri nigah ki had tak kahin bahaar nahin
KHizan-nasib hain ab tak fazaen gulshan ki
chaman ke zarf mein gunjaish-e-bahaar nahin
fazaen gunj uThengi mere taranon se
KHamosh hun ki abhi mausam-e-bahaar nahin
mizaj dil ka samajh mein na aa saka 'maikash'
KHushi bhi ras nahin gham bhi sazgar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.