fasil-e-jaan ke qaidi hain magar ye dhyan rakkha hai
fasīl-e-jāñ ke qaidī haiñ magar ye dhyān rakkhā hai
havā ke vāste ham ne dar-e-imkān rakkhā hai
sajā sakte the yādoñ ke ka.ī chehre ka.ī paikar
magar kuchh soch kar ham ne ye ghar vīrān rakkhā hai
hameñ shauq-e-azīyyat hai vagarna is zamāne meñ
tirī yādeñ bhulāne ko bahut sāmān rakkhā hai
tirī jholī meñ lā Dāleñge qarze is mohabbat ke
ki ham shorīda-sar haiñ kab koī ehsān rakkhā hai
shab-e-hijrāñ meñ dar aatī haiñ kaise ye mulāqāteñ
tamāshā-hā-e-ḳhalvat ne hameñ hairān rakkhā hai
tumheñ ye mānñā hogā ki ham ne apne lab sī kar
sukūt-e-shab kī muTThī meñ koī tūfān rakkhā hai
jo ho yaaro ba-har-sūrat charāġhoñ ko jalānā hai
havā.eñ kitnī barham haiñ ye ham ne jaan rakkhā hai
fasil-e-jaan ke qaidi hain magar ye dhyan rakkha hai
hawa ke waste hum ne dar-e-imkan rakkha hai
saja sakte the yaadon ke kai chehre kai paikar
magar kuchh soch kar hum ne ye ghar viran rakkha hai
hamein shauq-e-aziyyat hai wagarna is zamane mein
teri yaaden bhulane ko bahut saman rakkha hai
teri jholi mein la Dalenge qarze is mohabbat ke
ki hum shorida-sar hain kab koi ehsan rakkha hai
shab-e-hijran mein dar aati hain kaise ye mulaqaten
tamasha-ha-e-KHalwat ne hamein hairan rakkha hai
tumhein ye manna hoga ki hum ne apne lab si kar
sukut-e-shab ki muTThi mein koi tufan rakkha hai
jo ho yaro ba-har-surat charaghon ko jalana hai
hawaen kitni barham hain ye hum ne jaan rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.