fasil-e-jism mein madfun kar diya gaya hai
fasīl-e-jism meñ madfūn kar diyā gayā hai
burī tarah se mirā ḳhuun kar diyā gayā hai
maiñ is zamīñ pe mohabbat paḌhāne aaya thā
munāfiqat mirā mazmūn kar diyā gayā hai
mujhe sunā hī nahīñ hai kisī adālat ne
tirā kahā huā qānūn kar diyā gayā hai
jamāl-e-yār terī ḳhair ho december meñ
havā kā lahja may june kar diyā gayā hai
matā.a-e-hirs-o-havas ke ḳhazāne kandhoñ par
har aadmī yahāñ qārūn kar diyā gayā hai
hamāre hone na hone meñ ham sharīk na the
hameñ to muft meñ mat.ūn kar diyā gayā hai
mirī taraf kisī sūrat nazar nahīñ aanā
kisī taraf se use phone kar diyā gayā hai
fasil-e-jism mein madfun kar diya gaya hai
buri tarah se mera KHun kar diya gaya hai
main is zamin pe mohabbat paDhane aaya tha
munafiqat mera mazmun kar diya gaya hai
mujhe suna hi nahin hai kisi adalat ne
tera kaha hua qanun kar diya gaya hai
jamal-e-yar teri KHair ho december mein
hawa ka lahja may june kar diya gaya hai
mataa-e-hirs-o-hawas ke KHazane kandhon par
har aadmi yahan qarun kar diya gaya hai
hamare hone na hone mein hum sharik na the
hamein to muft mein matun kar diya gaya hai
meri taraf kisi surat nazar nahin aana
kisi taraf se use phone kar diya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.