fasil-e-KHwab pe siDhi lagane wala hun
fasīl-e-ḳhvāb pe sīḌhī lagāne vaalā huuñ
maiñ ek raaz se parda uThāne vaalā huuñ
taḳhayyulāt ke daane bikher kar har-sū
zamīn-e-aql pe hairat ugāne vaalā huuñ
mirī nazar meñ ye jīvan hai jal-parī jaisā
maiñ shoḳh rang ke sāgar dikhāne vaalā huuñ
gumāñ kī had se bhī aage paḌāv Daalā hai
bahut rukā to faqat shab batāne vaalā huuñ
maiñ ā.inoñ ko ta'ajjub meñ Daal kar ik din
tamām 'aks nazar se churāne vaalā huuñ
maiñ ho gayā huuñ bahut mutma.in suhūlat meñ
so mushkilāt meñ ḳhud ko phañsāne vaalā huuñ
fasāne ḳhuub gaḌhe haiñ binā kahānī ke
ġhazal bhī 'ishq se baalā sunāne vaalā huuñ
fasil-e-KHwab pe siDhi lagane wala hun
main ek raaz se parda uThane wala hun
taKHayyulat ke dane bikher kar har-su
zamin-e-aql pe hairat ugane wala hun
meri nazar mein ye jiwan hai jal-pari jaisa
main shoKH rang ke sagar dikhane wala hun
guman ki had se bhi aage paDaw Dala hai
bahut ruka to faqat shab batane wala hun
main aainon ko ta'ajjub mein Dal kar ek din
tamam 'aks nazar se churane wala hun
main ho gaya hun bahut mutmain suhulat mein
so mushkilat mein KHud ko phansane wala hun
fasane KHub gaDhe hain bina kahani ke
ghazal bhi 'ishq se baala sunane wala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.