fasil-e-shahr-e-ana mein shigaf maine kiya
fasīl-e-shahr-e-anā meñ shigāf maiñ ne kiyā
ye kār-nāma ḳhud apne ḳhilāf maiñ ne kiyā
mirā ġhulām batātā thā ḳhud ko jo har dam
bigaḌ gayā jo zarā iḳhtilāf maiñ ne kiyā
tumhāre husn kā charchā karūñgā pariyoñ meñ
agar kabhī safar-e-koh-e-qāf maiñ ne kiyā
bas ek tere ta'alluq kī pāsdārī meñ
tamām shahr ko apne ḳhilāf maiñ ne kiyā
mujhe ḳhabar hai kahīñ kā bhī rah na pā.ūñgā
tirī razā se agar inhirāf maiñ ne kiyā
vahī kahā hai jo mā'lūm hai zamāne ko
kahāñ 'shakīl' koī inkishāf maiñ ne kiyā
fasil-e-shahr-e-ana mein shigaf main ne kiya
ye kar-nama KHud apne KHilaf main ne kiya
mera ghulam batata tha KHud ko jo har dam
bigaD gaya jo zara iKHtilaf main ne kiya
tumhaare husn ka charcha karunga pariyon mein
agar kabhi safar-e-koh-e-qaf main ne kiya
bas ek tere ta'alluq ki pasdari mein
tamam shahr ko apne KHilaf main ne kiya
mujhe KHabar hai kahin ka bhi rah na paunga
teri raza se agar inhiraf main ne kiya
wahi kaha hai jo ma'lum hai zamane ko
kahan 'shakil' koi inkishaf main ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.