fasil-e-shahr pe likkhi hai dastan meri
fasīl-e-shahr pe likkhī hai dāstāñ merī
maiñ kaise baat karūñ qaid hai zabāñ merī
mohabbatoñ ke bhī ye silsile ajiib se haiñ
judā hai mujh se magar phir bhī hai vo jaañ merī
maiñ apne shahr meñ rah kar bhī ajnabī sā rahā
ki koī suntā nahīñ baat bhī yahāñ merī
jo jaan letā thā andar kā haal āñkhoñ se
use sunā.ī nahīñ detīñ siskiyāñ merī
ḳhudāyā terā karam hai ki mujh ko izzat dī
vagarna itnī bhī auqāt thī kahāñ merī
fasil-e-shahr pe likkhi hai dastan meri
main kaise baat karun qaid hai zaban meri
mohabbaton ke bhi ye silsile ajib se hain
juda hai mujh se magar phir bhi hai wo jaan meri
main apne shahr mein rah kar bhi ajnabi sa raha
ki koi sunta nahin baat bhi yahan meri
jo jaan leta tha andar ka haal aankhon se
use sunai nahin detin siskiyan meri
KHudaya tera karam hai ki mujh ko izzat di
wagarna itni bhi auqat thi kahan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.