fasil-e-shukr mein hain sabr ke hisar mein hain
fasīl-e-shukr meñ haiñ sabr ke hisār meñ haiñ
jahāñ guzar nahīñ ġham kā ham us dayār meñ haiñ
hameñ ujaal de phir dekh apne jalvoñ ko
ham aa.ina haiñ magar parda-e-ġhubār meñ haiñ
jalā ke mish.aleñ chalte to hote manzil par
vo qāfile jo savere ke intizār meñ haiñ
hai iḳhtiyār hameñ kā.enāt par hāsil
savāl ye hai ki ham kis ke iḳhtiyār meñ haiñ
fasil-e-shukr mein hain sabr ke hisar mein hain
jahan guzar nahin gham ka hum us dayar mein hain
hamein ujal de phir dekh apne jalwon ko
hum aaina hain magar parda-e-ghubar mein hain
jala ke mishalen chalte to hote manzil par
wo qafile jo sawere ke intizar mein hain
hai iKHtiyar hamein kaenat par hasil
sawal ye hai ki hum kis ke iKHtiyar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.