fasil-e-zat par itra raha hun
fasīl-e-zāt par itrā rahā huuñ
zamāne se bichhaḌtā jā rahā huuñ
maiñ patthar ke na.e paikar banā kar
ba-shakl-e-mom Dhaltā jā rahā huuñ
vo ik chehra vo palkeñ aur tabassum
ġhazal ko us kī lai pe gā rahā huuñ
tasavvur meñ kisī se baat kar ke
lab-o-lahje pe us ke chhā rahā huuñ
uḌānoñ se abhī ġhāfil huuñ apnī
zamīñ ko āsmāñ batlā rahā huuñ
muamma ban ga.ī hai zindagī ab
maiñ uljhī zulf ko suljhā rahā huuñ
abhī us gaañv meñ mele lageñge
abhī jis gaañv par mañDlā rahā huuñ
shanāsā.ī huī ḳhāroñ se itnī
guloñ ko dekh kar ghabrā rahā huuñ
maiñ lafzoñ meñ hasīñ rūmān lā kar
na.e lahje meñ Dhaltā jā rahā huuñ
vahī hai vasl kī jhūTī tasallī
maiñ 'aslam' ruuh ko taḌpā rahā huuñ
fasil-e-zat par itra raha hun
zamane se bichhaDta ja raha hun
main patthar ke nae paikar bana kar
ba-shakl-e-mom Dhalta ja raha hun
wo ek chehra wo palken aur tabassum
ghazal ko us ki lai pe ga raha hun
tasawwur mein kisi se baat kar ke
lab-o-lahje pe us ke chha raha hun
uDanon se abhi ghafil hun apni
zamin ko aasman batla raha hun
muamma ban gai hai zindagi ab
main uljhi zulf ko suljha raha hun
abhi us ganw mein mele lagenge
abhi jis ganw par manDla raha hun
shanasai hui KHaron se itni
gulon ko dekh kar ghabra raha hun
main lafzon mein hasin ruman la kar
nae lahje mein Dhalta ja raha hun
wahi hai wasl ki jhuTi tasalli
main 'aslam' ruh ko taDpa raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.