fasl-e-gham-e-bahaar ka sauda nahin kiya
fasl-e-ġham-e-bahār kā saudā nahīñ kiyā
is chashm-e-ashk-bār kā saudā nahīñ kiyā
majnūñ bane to chāk-e-garebāñ kiyā qubūl
dāmān-e-tār-tār kā saudā nahīñ kiyā
rangīniyoñ ke shahr meñ aa kar bhī dosto
ḳhvāboñ ke regzār kā saudā nahīñ kiyā
qadmoñ meñ kyā se kyā nahīñ rakkhā gayā magar
ham ne tumhāre pyaar kā saudā nahīñ kiyā
āñkhoñ meñ kaaT lī hai shab-e-zīst āḳhirash
ik pal ke intizār kā saudā nahīñ kiyā
dushman banā liyā hai jahāñ ko magar 'amīn'
yāroñ ke e.atibār kā saudā nahīñ kiyā
fasl-e-gham-e-bahaar ka sauda nahin kiya
is chashm-e-ashk-bar ka sauda nahin kiya
majnun bane to chaak-e-gareban kiya qubul
daman-e-tar-tar ka sauda nahin kiya
ranginiyon ke shahr mein aa kar bhi dosto
KHwabon ke regzar ka sauda nahin kiya
qadmon mein kya se kya nahin rakkha gaya magar
hum ne tumhaare pyar ka sauda nahin kiya
aankhon mein kaT li hai shab-e-zist aaKHirash
ek pal ke intizar ka sauda nahin kiya
dushman bana liya hai jahan ko magar 'amin'
yaron ke eatibar ka sauda nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.