fasl-e-gul aati phul khilte bhi
fasl-e-gul aatī phuul khilte bhī
ḳhush-nasībī se aap milte bhī
ham ne dekhā hai lauT aanā bhī
ham ne dekhe haiñ zaḳhm silte bhī
aa gire phuul aap jholī meñ
ḳhaar chubhte ye haath chhilte bhī
kaash dil kī talab na yuuñ hotī
kaash mujh se kabhī na milte bhī
izn-e-goyā.ī kaash mil jaatā
dekhe jaate haiñ hoñT milte bhī
dekhā 'āmir' kalī kā joban phir
ham ne dekhā kalī ko khilte bhī
fasl-e-gul aati phul khilte bhi
KHush-nasibi se aap milte bhi
hum ne dekha hai lauT aana bhi
hum ne dekhe hain zaKHm silte bhi
aa gire phul aap jholi mein
KHar chubhte ye hath chhilte bhi
kash dil ki talab na yun hoti
kash mujh se kabhi na milte bhi
izn-e-goyai kash mil jata
dekhe jate hain honT milte bhi
dekha 'amir' kali ka joban phir
hum ne dekha kali ko khilte bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.